watan pe jo fida hoga – lyrics

Himalay ki bulandi se
ae ae ae
suno aawaaaz hai aayi
kaho maaon se
den bete
kaho behnon se
den bhai

watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga
rahegi jab talak duniya
ye afsaana bayaan hogaa
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga

Himaala keh raha hai
is watan ke naujawaanon se
khadaa hoon santri banke
main sarhad pe zamaanon se
bhala is waqt dekhoon
kaun mera paasbaan hoga
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga

chaman waalon ki ghairat ko
hai saiyyaadon ne lalkara
uthho har phool se keh do
ke ban jaayen wo angaara
nahin to doston ruswaa
hamaara gulsitaan hoga
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga

hamaare ik padosi ne
hamaare ghar ko loota hai
hamaare ik padosi ne
hamaare ghar ko loota hai
bharam ik dost ki bas dosti ka
aise toota hai
ke ab dost pe duniya ko
dushman ka gumaan hoga
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga

sipaahi dete hain aawaaz
mataaon ko
behnon ko
hamen hathiyaar le do
bech daalon apne gehnon ko
ke is qurban pe qurbaan watan ka
har jawaan hoya
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga
rahegi jab talak duniya
ye afsaana bayaan hogaa
watan pe jo fida hoga
amar ho naujawaan hoga

Filed in: Patriotic Songs, Songs Lyrics

No comments yet.

Leave a Reply