5:32 pm - Sunday November 23, 4594

भारत के इस महाभारत में कृष्ण तुम्हें आना ही होगा – जन्माष्टमी पर प्रासंगिक कविता

geeta updeshBharat ke is mahabharat mein

taken from e mail of Sh O.F.H.Jung

krashna tumhe aana hi hoga

phir se is dharti par yudh ka

shankh bajana hi hoga

shudharshan chakra haath mei le

bhrasht netao ko narak to

pahuchana hi hoga

krashna tumhe aana hi hoga

mehangai ki ho rahi

dino-din bahaar

roj badh rahe yaha atyachar

bhrashtachar ban gaya

ab vyapar

desh ke karndharo ko

purusharth ka paath

padhana hi hoga

krashna tumhe aana hi hoga

sant mahatma va

dharm ke thekedar

kehete hai hum bhagwan

ke avtaar

aise pakhand ke

avataariyo ko

apko darsh dikhlana hi hoga

krashna tumhe aana hi hoga

yaha bhai ke saath bhai ka

rehna ho gaya dushwar

tuut rahe sanyukt parivaar

budhe maa-baap

ban gaye lachar

kusanskaro ki is banjar zamee par

sanskar ke beej

ab buaana hi hoga

krashna tumhe aana hi hoga!

Filed in: Literature

No comments yet.

Leave a Reply